google.com, pub-4370368016854907, DIRECT, f08c47fec0942fa0

15/01/2015

Kabootar Ka Sokra Aur uska ilaj

Kabooter ka sokh jana Aur Khorak ka Na khana ye is beemari ki ilamaat hain.Sokhty Sokhty Aik din Kabuter expire hojata hai.

Sokra door kernay k liye bhi aik khaas nuskha hazir hai

Neechy di gai chezein 5 kabootaro ki khauraak hai.

1- bari elaayichi 5 piece
2- saunf 20 grams
3- choti elaayichi 10 piece
4- poodena (mint) hasb e zaroorat
5- puraana gurr 100 grams (gurr jitna purana utna acha)

oper di hui sab cheezo ko achi tarha pees lein. aur phir inki
channay kay size ki goliyaan bana lein aur sukhaa lein.

raat ko 7-8 bajay tak yeh gooli kabootar ko de dein aur uskay
baad kabootar ko aisi jagha per band karein jahan hawa na lagay.
subha kay waqt kabootar ko dhoop mein jaal mein nikaal dein
aur dhoop mein 1 hour rkhnay kay baad daana dein.
In Sha Allah kabootar kuch he days mein fit faat ho jaengy

Poori ummed hai kay Allah Ney Chaha to parinday bilkul Set ho jayeingy.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Message